▶️ *_Waqiya -e- Karbala Ka Talluq Imam Husain Radiallaho Ta'ala Anho Ke Saath Hai Aur Imam Hasan Radiallaho Ta'ala Anho Aapke Bhai Hain Aur Jab Waqiya -e- Karbala Bayaan Kiya Jaata Hai To Imam Hasan Radiallaho Ta'ala Anho Ka Bhi Zikr Kiya Jaata Hai Aur Yahi Wajah Hai Ke Is Unwaan Ko Yahan Shamil Kiya Gaya Hai_*
✴️ _Is Unwan Ke Tehat In Baato Ko Zere Bahas Laaya Gaya Hai._
*(a) Is Silsile Mein Jo Mash'hoor Hai*
*(b) Ja'ada Binte Ash'ash Ki Taraf Nisbat Karne Waale Hazraat*
*(c) Is Ka Radd Karne Waale Hazraat*
📍 *(A) Is Silsile Mein Jo Mash'hoor Hai :*
✴️ _Imam Hasan Radiallaho Ta'ala Anho Ko Zahar De Kar Shaheed Kiya Gaya Aur Mash'hoor Hai Ke Zahar Dene Waali Aap Ki Biwi Ja'ada Binte Ash'ash Thi_
❇️ *_Baaz Ulama Ne Bhi Zahar Khoorani Ki Nisbat Ja'ada Binte Ash'ash Ki Taraf Ki Hai Lekin Baaz Ulama Ne Is Ko Naqabil -e- Qabool Aur Haqeeqat Ke Khilaf Bataya Hai_*
✴️ _Sab Se Pehle Hum Un Ulama Mein Se Chand Ka Zikr Karte Hain Jinhone Zahar Dene Ki Nisbat Ja'ada Binte Ash'ash Ki Taraf Ki Hai._
📍 *(B) Ja'ada Binte Ash'ash Ki Taraf Nisbat Karne Waale Hazraat.*
_Shah Abdul Azeez Muhaddise Dehelvi Rahimahullah_
_Imam Jalaluddin Suyooti Rahimahullah_
_Imam Ibne Hajar Haytmi Rahimahullah_
_Allama Hasan Raza Khan Barelvi Rahimahullah_
_Aur Muftiye Aazam -e- Hind, Allama Mustafa Raza Khan Rahimahullah Ne Isi Ko Durust Qarar Diya Hai_
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 8,9.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment