*【POST 04】Imam Hasan Ko Zahar Kis Ne Diya. (B)*

📍 *(c) Is Ka Radd Karne Waale Hazraat*


↪️ _Ab Un Ulama Ke Aqwaal Pesh Kiye Jaate Hain Jin Ka Mauqif Is Ke Khilaf Hai._


❇️ *_Hazrate Allama Syed Nayeemuddin Muradabadi Is Baabat Likhte Hain Ke Moarrikheen Ne Zahar Khoorani Ki Nisbat Ja'ada Binte Ash'ash Ki Taraf Ki Hai Lekin Is Riwayat Ki Koi Sanad -e- Sahih Dastyaab Nahin Huyi Aur Baghair Daleel Kisi Musalman Par Qatl Ka Ilzam Kis Tarah Jaayez Ho Sakta Hai_*


✴️ _Tareekhein Batati Hain Ke Imam Husain Radiallaho Ta'ala Anho Ne Apne Bhai Se Zahar Dene Waale Ke Mutalliq Daryaft Kiya Aur Is Se Zaahir Hai Imam Husain Ko Zahar Dene Waale Ka Ilm Na Tha_


❇️ *_Imam Husain Ne Bhi Kisi Ka Naam Nahin Liya To Ab Un Ki Biwi Ko Qatil Muayyan Karne Waala Kaun Hai_*


▶️ _Faqeeh -e- Millat, Hazrate Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi,_

▶️ _Shaykhul Hadees, Hazrate Allama Abdul Mustafa Aazmi,_

▶️ _Hakeemul Ummat, Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi,_

▶️ _Hazrate Allama Muhammad Shabbeer Kotli,_

▶️ _Hazrate Allama Abdus Salam Qadri,_


❇️ *_Hazrate Allama Mufti Ghulam Hasan Qadri Aur Hazrate Allama Qaari Muhammad Ameenul Qadri Rahimahumullah Ne Yahi Mauqif Ikhteyar Kiya Hai_*


✴️ _In Tamam Hazraat Ke Aqwaal Se Ye Natija Akhaz Hota Hai Ke Imam Hasan Ki Biwi Par Qatl Ki Nisbat Se Ehtiyat Barta Jaaye_


📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 10,11.*


_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites