❇️ *_Waqiya -e- Karbala Bayaan Karte Huye Jab Yazeed Ki Baat Aati Hai To Is Waqiye Ko Bhi Bayaan Kiya Jaata Hai Lihaza Ise Bhi Yahan Shamil Kiya Gaya Hai_*
▶️ _Is Unwaan Ke Tehat In Baato Ko Zere Bahas Laaya Gaya Hai :_
*(a) Mash'hoor Waqiya*
*(b) Shaarahe Bukhari,* *Allama Shariful Haq Amjadi Rahimahullah Ka Jawab*
*(c) Behrul Uloom, Hazrat Allama Mufti Abdul Mannan Aazmi Rahimahullah Ka Jawab*
*(d) Faqeehe Millat, Allama Jalaluddin Ahmad Amjadi Ka Jawab*
📍 *(A) Mash'hoor Waqiya*
✴️ _Hazrate Ameer -e- Muawiya Radiallaho Ta'ala Anho Ke Baare Mein Kisi Jahil Ne Ye Jhooti Riwayat Ghadi Hai Ke Ek Martaba Aap Yazeed Ko Apne Kandhe Par Bithaye Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Khidmat Mein Haazir Huye To Aap صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Ke Jannati Baap Ke Kandhe Par Jahannami Beta Sawaar Hai_
📍 *(B) Shaarahe Bukhari, Allama Shariful Haq Amjadi Rahimahullah Ka Jawab*
✴️ _Is Riwayat Ke Mutalliq Hazrate Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Rahimahullah Likhte Hain Ke Ye Riwayat Manghadat Aur Jhoot Hai_
❇️ *_Huzoor Ki Hayaat -e- Zaahiri Mein Yazeed Paida Hi Nahin Hua Tha Balki Huzoor Ke Wisaal Ke 15 Ya 16 Ya 17 Saal Ke Baad Paida Hua Yazeed Ki Paidaish 25 Hijri Ya 26 Hijri Ya 27 Hijri Mein Huyi Hai, Riwayaat Mukhtalaf Hain_*
✴️ _Jis Ne Ye Riwayat Bayaan Ki Us Ne Huzoor صلى الله عليه وسلم Par Jhoot Bandhne Ki Wajah Se Apna Thikana Jahannam Mein Banaya, Bukhari Waghaira Tamam Kutub Mein Ye Hadees Hai Jo 40-50 Sahaba Se Marwi Hai :_
❇️ *Jo Mujh Par Jhoot Bandhe Wo Apna Thikana Jahannam Mein Banaye*
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 11,12.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment