*【POST 06】Jannati Baap Ke Kandhe Par Jahannami Beta (B)*

📍 *(C) Behrul Uloom, Hazrat Allama Mufti Abdul Mannan Aazmi Rahimahullah Ka Jawab*


✴️ _Behrul Uloom, Hazrate Allama Mufti Abdul Mannan Aazmi Rahimahullah Is Riwayat Ke Mutalliq Likhte Hain Ke Bachpan Mein Hum Ne Jahilo Ki Zubaani Suna Tha Ke Hazrate Ameer -e- Muawiya Radiallaho Ta'ala Anho Yazeed Ko Apne Kandhe Par...... Alakh_


❇️ *_Ye Baat Is Tarah Jhoot Hai Ke Sab Jaante Hain Ke Huzoor ﷺ Ne 10 Hijri Mein Parda Farmaya Aur Yazeed Ki Paidaish 26 Hijri Mein Huyi To Jo Shakhs Huzoor Ke Parda Farmane Ke 16 Saal Baad Paida Hua Us Ko Huzoor ﷺ Ne Kab Hazrate Ameer -e- Muawiya Ke Kandhe Par Dekha Aur Kab Us Ko Jahannami Bataya_*


📍 *(D) Faqeehe Millat, Allama Jalaluddin Ahmad Amjadi Ka Jawab*


✴️ _Faqeeh -e- Millat, Hazrate Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Rahimahullah Ne Bhi Is Riwayat Ko Apni Do Kitabo Mein Baatil Qaraar Diya Hai_


❇️ *_Aisi Riwayat Banane Waalo Ko Manna Padega, Kya Aqal Paayi Hai Kisi Ko Bhi Kisi Se Mila Dete Hain, Inhein Hayaat Aur Wafat Se Koi Matlab Hi Nahin Hai_*


✴️ _Wo Log Bhi Qabil -e- Zikr Hain Jo Aisi Riwayaat Ko Dhadalle Se Bayaan Karte Hain_


📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 12,13.*


_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites