↪️ _Is Unwaan Ke Tehat In Baato Ko Zere Bahas Laaya Gaya Hai :_
*(a) Is Waqiye Ki Pehle Waale Se Munasibat*
*(b) Waqiya*
*(c) Is Ki Tehqeeq*
*(d) Aise Waqiyaat Ghadne Ka Maqsad, Mulla Kashfi Aur Rauzatush Shuhada*
📍 *(A) Is Waqiye Ki Pehle Waale Se Munasibat*
✴️ _Ye Waqiya Humne Mulla Husain Kashfi Ki "Rauzatush Shuhada" Naami Kitab Se Naqal Kiya Hai_
✳️ *_Is Ko Padhne Ke Baad Aap Andaza Laga Sakte Hain Ke Ye Bhi Us Waqiye Se Kam Nahin Hai Jo Humne Hazrate Ameere Muawiya Ke Hawale Se Guzashta Safahaat Mein Naqal Kiya Hai_*
📍 *(B) Waqiya*
✴️ _Rauzatus Shuhda Mutarjam Ki Dusri Jild Mein Unwaan "Ghame Ahle Bait Ki Ek Tasveer" Ke Tehat Ye Qissa Darj Hai Ke Hazrate Abdullah Bin Mubarak Farmate Hain Ke Ek Baar Main Haram Ki Haaziri Ke Liye Akela Hi Sehra Se Guzar Raha Tha Ke Achanak Maine 12-13 Saal Ke Ek Shehzade Ko Dekha Ke Wo Tanha Chala Ja Raha Hai_
❇️ *_Us Shehzade Ke Gesu Siyaah Aur Chehra Chand Ki Tarah Tha, Maine Kaha : Subhan Allah! Is Sehra Mein Ye Kaun Shakhs Hai_*
▶️ _Maine Aage Badh Kar Salaam Arz Kiya To Unhone Jawab Ata Farmaya, Maine Poochha : Aap Kaun Hain?_
❇️ *_Farmaya : Main Abdullah Yaani Khuda Ka Banda Hoon_*
▶️ _Maine Poochha : Aap Kahan Se Aaye Hain?_
❇️ *_Farmaya : Minallah Yaani Allah Ki Taraf Se Aaya Hoon_*
▶️ _Maine Kaha : Aap Ko Kahan Jaana Hai?_
❇️ *_Farmaya : Ilallah Yaani Khuda Ki Taraf Jaana Hai_*
▶️ _Maine Kaha : Aap Kya Chahte Hain?_
❇️ *_Farmaya : Allah Ta'ala Ki Khushnudi Chahta Hoon_*
▶️ _Maine Kaha : Aap Ka Zaade Raah Aur Sawari Kahan Hain?_
❇️ *_Farmaya : Mera Zaade Raah Tosha -e- Taqwa Hai Aur Meri Sawari Mere Dono Paaon Hain_*
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 13,14.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment