▶️ _Maine Kaha : Ye Khunkhaar Bayabaan Hai Aur Aap Chhoti Umr Ke Hain, Aap Kya Karenge?_
❇️ *_Farmaya : Tu Ne Kisi Aise Shakhs Ko Dekha Hai Jo Kisi Ki Ziyarat Ki Taraf Mutawajjeh Ho Aur Wo Shakhs Use Be Behra Aur Mahroom Kar De?_*
▶️ _Maine Kaha : Agarche Aap Ki Umr Chhoti Hai Magar Baat Bahut Badi Ki Hai, Aap Ka Naam Kya Hai?_
❇️ *_Farmaya : Aye Ibne Mubarak! Musibat Zadgaane Rozgaar Ka Kya Puchhte Ho Aur Un Ke Naam Se Kya Talash Karoge?_*
▶️ _Maine Kaha : Agar Aap Naam Nahin Batana Chahte To Khuda Ke Liye Yahi Bata Dein Ke Aap Kis Qaum Aur Kis Qabeele Se Talluq Rakhte Hain_
❇️ *_Unhone Dile Pur Dard Se Aahe Sard Kheenchi Aur Farmaya : Hum Mazloom Qaum Se Hain, Hum Be Watan Aur Ghareebud Dayaar Qaum Se Hain Aur Hum Us Qaum Se Hain Jis Par Qahro Ghazab Toda Gaya Hai_*
▶️ _Maine Kaha : Main Kuchh Nahin Jaan Saka, Aap Apne Bayaan Mein Izafa Farmaiye_
📌 *Unhone Chand Ash'aar Padhe Jin Ka Mazmoon Ye Hai :*
❇️ *_Hum Aane Waalo Ko Hauze Kausar Se Paani Pilane Waale Hain Aur Najat Paane Waala Shakhs Humare Wasile Ke Baghair Muraad Ko Nahin Pahunchega Jo Shakhs Hum Se Dosti Rakhega Hargiz Be Behra Nahin Rahega Aur Jo Humara Haque Ghasab Karega Qiyamat Ke Din Humare Liye Aur Us Ke Liye Mahkama -e- Jaza Ki Waada Gaah Hogi_*
✴️ _Unhone Ye Baat Ki Aur Meri Nigaho Se Ghaayib Ho Gaye, Maine Bahut Koshish Ki Lekin Na Jaan Saka Ke Wo Kaun The Jab Main Makka Pahuncha To Ek Din Tawaf Mein Logon Ka Ek Giroh Dekha Jis Ne Ek Shakhs Ko Halqe Mein Le Rakha Tha Aur Bahut Se Log Us Ke Qadmo Mein Khade The, Main Jab Saamne Gaya To Dekha Ke Ye Wahi Shehzade Hain Jin Se Meri Mulaqat Sehra Mein Huyi Thi_
❇️ *_Log Un Ke Ird Gird Jama Ho Kar Halaalo Haraam Ke Masail Poochh Rahe The Aur Wo Faseeh Zubaan Mein Sab Ko Jawab De Rahe The, Maine Kaha : Ye Kaun Hain?_*
✴️ _Logon Ne Kaha : Afsos Ke Tu Inhein Nahin Jaanta! Ye Ali Bin Husain Imam Zainul Aabideen Hain, Ye Sun Kar Abdullah Bin Mubarak Ne Aage Badh Kar Imam Ke Haatho Aur Paaon Ko Bosa Diya Aur Rote Huye Kaha : Aye Rasoolullah Ke Bete! Aap Ne Mazloomi -e- Ahle Bait Ke Baare Mein Jo Farmaya Wo Durust Hai_
❇️ *_Is Ummat Mein Kisi Jama'at Ko Wo Musibat Nahin Pahunchi Jo Ahle Bait Ko Pahunchi Hai_*
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 15,16.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment