*【POST 09】Imam Zainul Aabideen Aur Hazrate Abdullah Bin Mubarak Ki Mulaqat Ka Jhoota Qissa (C)*

📍 *(C) Is Ki Tehqeeq.*


↪️ _Qissa Aap Ne Padh Liya, Ab Zara Dekhein Ke Is Mein Kya Mazedar Hai_


❇️ *_Imam Zainul Aabideen Ki Wiladat 38 Hijri Mein Huyi Aur Wisaal 95 Hijri Hua Aur Hazrate Abdullah Bin Mubarak Ki Paidaish 118 Hijri Mein Aur Inteqal 181 Hijri Mein Hua_*


✴️ _Ab Hisaab Lagaya Jaaye To Imam Zainul Aabideen Ki Wafat Ke 23 Saal Baad Hazrate Abdullah Bin Mubarak Ki Paidaish Hoti Hai Aur Jab Imam ,Zainul Aabideen Ki Umr 12-13 Saal Ki Thi To Us Waqt Abhi Abdullah Bin Mubarak Ki Paidaish Ko 68 Saal Pade The_


❇️ *_Is Qisse Mein Imam Zainul Aabideen Ki Mulaqat Ek Aise Shakhs Se Zabardasti Karwayi Ja Rahi Hai Jo 68 Saal Ke Baad Paida Hoga! Mazedar Hai Ya Nahin?_*


📍 *(D) Aise Waqiyaat Ghadne Ka Maqsad, Mulla Kashfi Aur Rauzatush Shuhada*


✴️ _Chahe Ye Qissa Ho Ya Imam Muslim Bin Aqeel Ke Bachcho Ka Qissa, Sab Jhoot Hai, Ye Waqiyaat Ghade Gaye Hain Taaki Logon Ko Suna Kar Unhein Rone Dhone Par Majboor Kiya Jaaye Aur Ahle Bait Par Huye Mazalim Ko Yaad Kar Je Log Matam Karein_


❇️ *_Mulla Husain Waayiz Kashfi Koi Sunni Nahin Tha Aur Us Ki Ye Kitab Rauzatus Shuhda Ek Ghair Motabar Kitab Hai Jis Mein Ahle Bait Ki Taraf Jhoote Qisse Kahaniyo Ko Mansoob Kiya Gaya Hai_*


📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 16,17.*


_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites