*【POST 10】Maidan -e- Karbala Mein Shadi (A)*

 ↪️ _Is Unwaan Ke Tehat In Baato Ko Zere Bahas Laaya Gaya Hai._


*(a) Phir Se Rauzatush Shuhada Az Mulla Kashfi*

*(b) Waqiya*

*(c) Is Waqiye Ki Tehqeeq*

*(d) Ek Mash'hoor Waqiye Ki Taraf Ishara*


📍 *(A) Phir Se Rauzatush Shuhada Az Mulla Kashfi*


✴️ _Ye Waqiya Bhi Mulla Husain Kashfi Ki Rauzatush Shuhada Se Naqal Kar Rahe Hain_


❇️ *_Ye Kitab Kuchh Muqarrireen Ke Nazdeek Motabar Maani Jaati Hai Halanki Haqeeqat Is Ke Bar Aks Hai_*


📖 _Is Kitab Mein Jhoote Aur Manghadat Waqiyaat Bhare Pade Hain_


❇️ *_Waqiya -e- Karbala Par Urdu Zubaan Mein Likhi Jaane Waali Kitabo Mein Is Ke Hawale Dekhne Ko Milte Hain Balki Kuchh Ka To Asal Makhaz Hi Yahi Hai_*


✴️ _Ek Aur Waqiya Isi Kitab Se Zel Mein Naqal Kiya Jaata Hai Aur Is Par Baat Karna Un Tamam Ke Liye Kaafi Hoga Jin Ka Makhaz Ye Kitab Hai_


📍 *(B) Waqiya*


✴️ _Mulla Husain Waayiz Kashfi Likhta Hai Ke Hazrate Qasim Ne Imam Hasan Ka Wasiyat Naama Imam Husain Ko Diya, Imam Husain Dekh Kar Rone Lage Phir Farmaya Ke Aye Qasim Ye Tere Liye Tere Abba Jaan Ki Wasiyat Hai Aur Main Ise Poora Karna Chahta Hoon_


❇️ *_Imam Husain Kheme Ke Andar Gaye Aur Apne Bhaiyo Hazrate Abbas Aur Hazrate Aun Ko Bula Kar Janabe Qasim Ki Walida Se Farmaya Ke Wo Qasim Ko Naye Kapde Pehnayein Aur Apni Behan Hazrate Zainab Ko Farmaya Ke Mere Bhai Hasan Ke Kapdo Ka Sandooq Laao_*


✴️ _Sandooq Pesh Kiya Gaya To Aap Ne Use Khola Aur Us Mein Se Imam Hasan Ki Zirah Nikali Aur Apna Ek Qeemti Libaas Nikal Kar Imam Qasim Ko Pehnaya Aur Khoobsurat Dastaar Nikaal Kar Apne Haath Se Un Ke Sar Par Baandhi Aur Apni Saahibzadi Ka Haath Pakad Kar Farmaya Aye Qasim! Ye Tere Baap Ki Amanat Hai Jis Ne Tere Liye Wasiyat Ki Hai_


❇️ *Imam Husain Ne Apni Saahibzadi Ka Nikah Hazrate Qasim Se Kar Diya*


✴️ _Is Kitab Ka Tarjama Karne Waale Saayim Chishti Ne Is Riwayat Ke Baare Mein Likha Hai Ke Agar Ye Nikah Hua Tha To Imam Husain Ne Apne Bhai Ki Wasiyat Par Amal Kiya Hoga Warna In Halaat Mein Nikah Waghaira Ka Mamla Intehayi Namunasib Aur Ghair Mauzoo'n Hain_


📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 17,18,19.*


_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites