*【POST 11】Maidan -e- Karbala Mein Shadi (B)*

📍 *(C) Is Waqiye Ki Tehqeeq.*


↪️ _Is Qisse Ke Baare Mein Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullah Se Sawal Kiya Gaya Ke Hazrate Qasim Ki Shadi Maidan -e- Karbala Mein Hona Jis Bina Par Mehendi Nikali Jaati Hai, Ahle Sunnat Ke Nazdeek Saabit Hai Ya Nahin?_


❇️ *_Imam -e- Ahle Sunnat Ne Farmaya Ke Na Ye Shadi Saabit Hai Na Ye Mehendi Siwa Ikhtera Ikhterayi Ke Koi Cheez (Yaani Ye Banayi Huyi Baatein Hain)_*


✴️ _Hazrate Allama Muhammad Ali Naqshbandi Rahimahullah Likhte Hain Ke Ye Tamam Baatein Manghadat Aur Ahle Bait Par Bohtan -e- Azeem Hai_


❇️ *_Imam Husain Ki Do Saahibzadiya Thi'n Aur Waqiya -e- Karbala Se Pehle Dono Ki Shadi Ho Chuki Thi_*


📍 *(D) Ek Mash'hoor Waqiye Ki Taraf Ishara*


❇️ *_Is Kitab Mein Aise Kayi Jhoote Qisse Maujood Hain Jin Mein Imam Muslim Bin Aqeel Ke Bachcho Ka Waqiya Bhi Shamil Hai Jis Ki Tehqeeq Aap Aage Mulahiza Farmayenge_*


✴️ _Imam Muslim Ke Bachho Ka Waqiya Itna Mash'hoor Hai Ke Chand Motabar Ulama Ne Bhi Apni Kutub Mein Bila Tehqeeq Ise Naqal Kar Diya Hai._


❇️ *_Is Waqiye Ko Baad Mein Laane Ki Wajah Ye Hai Ke Pehle Rauzatush Shuhada Naami Kitab Ki Haisiyat Qarayeen Par Waazeh Ho Jaaye Phir Is Waqiye Ki Tehqeeq Ko Samajhne Mein Aasani Hogi_*


📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 19,20.*


_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites