↪️ _Is Unwaan Ke Tehat In Baato Ko Zere Bahas Laaya Gaya Hai :_
*(a) Paani Band Hua Ya Nahin?*
*(b) Dono Tarah Ki Riwayaat Aur Muqarrireen*
*(c) Tarikh Ibne Kaseer Ki Riwayat Ke Duswi Muharram Ko Kheme MeinPaani Maujood Tha*
*(d) Allama Shariful Haq Amjadi Ka Jawab*
📍 *(A) Paani Band Hua Ya Nahin?*
❇️ *_Agar Ye Kaha Jaaye Ke Maidan -e- Karbala Mein Dushmano Ki Taraf Se Paani Par Kisi Qism Ki Koi Pabandi Nahin Lagayi Gayi Thi To Riwayaat Ki Roo Se Ye Sahih Nahin Aur Agar Ye Kaha Jaaye Ke Teen Din Tak Ahle Bait Ke Khemo Mein Bilkul Paani Nahin Tha Jis Ki Wajah Se Bachho Ko Bhi Pyaas Ki Shiddat Se Do Chaar Hona Pada To Ye Bhi Durust Nahin Hai Kyunki Chand Riwayaat Se Is Ki Nafi Hoti Hai_*
📍 *(B) Dono Tarah Ki Riwayaat Aur Muqarrireen*
✴️ _Maidan -e- Karbala Mein Ahle Bait Par Paani Band Kiya Gaya Ya Nahin? Is Par Dono Tarah Ki Riwayaat Maujood Hain Lekin Bayaan Sirf Unhi Ko Kiya Jaata Hai Jis Se Logon Ko Rulaya Ja Sake_
❇️ *_Kaha Jaata Hai Ke Teen Din Tak Ahle Bait Ke Kheme Mein Ek Boond Bhi Paani Nahin Tha Aur Musalsal Teen Din Tak Bachcho Se Le Kar Bado Tak Sab Pyase Rahe Aur Kuchh Muqarrireen To Is Se Bhi Aage Badh Jaate Hain Aur Paanch Muharram Se Hi Paani Band Kar Dete Hain Taaki Waqiya Mazeed Dardnak Ho Jaaye_*
📍 *(C) Tarikh Ibne Kaseer Ki Riwayat Ke Duswi Muharram Ko Kheme Mein Paani Maujood Tha*
✴️ _Tarikh Ibne Kaseer Mein Ek Riwayat Kuchh Yun Hai Ke Daswi Muharram Ko Imam Husain Radiallaho Ta'ala Anho Ne Ghusl Farmaya Aur Khushbu Lagayi Aur Baaz Dusre Saathiyo Ne Bhi Ghusl Farmaya_
❇️ *_Is Riwayat Ko Muqarrireen Haath Bhi Nahin Lagate Kyunki Agar Ise Bayaan Kar Diya To Phir Logon Ko Rulane Ka Dhanda Chaupat Ho Jayega, Phir Kis Moonh Se Kaha Jayega Ke Teen Din Tak Ahle Bait Ke Khemo Mein Ek Boond Bhi Paani Nahin Tha_*
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 20,21.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment