📍 *(D) Allama Shariful Haq Amjadi Ka Jawab*
↪️ _Khalifa -e- Huzoor Muftiye Aazam -e- Hind, Shaarahe Bukhari, Hazrate Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Rahimahullah Se Sawal Kiya Gaya Ke Kya Imam Husain Ne Aashura Ki Subah Ko Ghusl Farmaya Tha? Kya Ye Riwayat Sahih Hai? Agar Sahih Hai To Phir Khud Ulama -e- Ahle Sunnat Jo Bayaan Karte Hain Ke Teen Din Tak Hazrate Imam Husain Aur Unke Rufaqa Par Paani Band Kiya Gaya, Yahan Tak Ke Bachche Pyaas Se Bilakte Rahe_
❇️ *_Aap Rahimahullah Jawaban Likhte Hain Ke Ye Riwayat Tarikh Ki Kitabo Mein Maujood Hai, Maslan Bidaya Nihaya Mein Hai :_*
✴️ _"Us Ke Baad Imam Husain Kheme Mein Gaye Aur Us Mein Ja Kar Ghusl Farmaya Aur Hadtaal Istemal Farmayi Aur Bahut Zyada Mushk Jism Par Mali, Un Ke Baad Baaz Rufaqa Bhi Kheme Mein Gaye Aur Unhone Bhi Aisa Hi Kiya"_
📌 *Aur Isi Mein Ek Safha Pehle Ye Bhi Hai :*
❇️ *_"Hazrate Zainab Behosh Ho Kar Gir Padi'n, Hazrate Imam Husain Un Ke Qareeb Gaye Aur Un Ke Chehre Par Paani Chhidka"_*
✴️ _Shaarahe Bukhari Rahimahullah Mazeed Likhte Hain Ke Ye Dusri Riwayat Tabri Mein Bhi Hai Hatta Ke Rafziyo Ki Bhi Baaz Kitabo Mein (Maujood) Hai_
❇️ *_Humare Yahan Shiyo Ne Ek Dafa Nuqqan Miya Ko Bulaya Tha Jo Mujtahid Bhi The Aur Bahut Paaye Ke Khateeb Bhi, Unhone Ye Riwayat Apni Taqreer Mein Bayaan Ki Jis Par Jahilo Ne Bahut Shor Machaya, Un Ko Gaaliya Dee'n, Ek Jahil Ne To Yahan Tak Keh Diya Ke Agar Aise Do Ek Waayiz (Muqarrir) Aa Gaye To Humara Mazhab........... Mein Mil Jayega (Khali Jagah Mein Ghaliban Koi Gaali Hogi)_*
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 21,22.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment