*【POST 14】Paani Band Hone Ke Baare Mein Ifraato Tafreet (C)*

❇️ *_(Phir Dono Tarah Ki Riwayaat Ke Mutalliq Likhte Hain Ke) Ye Sahih Hai Ke 7 Muharram Se Ibne Ziyaad Ke Hukm Se Nehre Furaat Par Pehra Baitha Diya Gaya Tha Ke Hazrate Imam Aali Maqam Ke Log Paani Na Le Paayein Magar Ye Bhi Riwayat Hai Ke Is Pehre Ke Bawajood Hazrate Abbas Kuchh Logon Ko Le Kar Kisi Na Kisi Tarah Se Paani Laaya Karte The Lekin Shahadat Ke Zakireen (Humare Muqarrireen) Aab Bandi_*


✴️ _(Yaani Paani Band Hone) Ki Riwayat Ko Jis Tarah Bayaan Karte Hain Agar Na Bayaan Karein To Mehfil Ka Rang Nahin Jamega_


❇️ *_Is Riwayat Mein Aur Waqte Shahadat Hazrate Ali Akbar Wa Hazrate Ali Asghar Ka Pyaas Se Jo Haal Mazkoor Hai Munafaat (Tazaad) Nahin_*


✴️ _Ho Sakta Hai Ke Subah Ko Paani Is Miqdaar Mein Raha Ho Ke Sab Ne Ghusl Kar Liya Phir Paani Khatm Ho Gaya Aur Jung Shuru Ho Jaane Ki Wajah Se Furaat Ke Pehre Daaro Ne Zyada Sakhti Kar Di Ho, Is Ki Tayeed Is Se Bhi Ho Rahi Hai Ke Hazrate Abbas Furaat Se Mashk Bhar Kar Paani La Rahe The Ke Shaheed Huye_


❇️ *_Humein Is Par Israar Nahin Ke Ye Riwayat Sahih Hai Magar Main Qatayi Hukm Bhi Nahin De Sakta Ke Ye Riwayat Ghalat Hai_*


✴️ _Tarikhi Waqiyaat Jazbaat Se Nahin Jaanche Jaate, Haqaiq Aur Riwayaat Ki Bunyad Par Jaanche Jaate Hain_


📌 *Khulasa :*


❇️ *_Paani Band Hone Waali Sirf Ek Taraf Ki Riwayat Ko Bayaan Karna Aur Ye Kehna Ke Teen Din Tak Ahle Bait Ke Khemo Mein Ek Boond Paani Nahin Tha, Is Se Waazeh Hai Ke Maqsad Sirf Logon Ko Rulana Aur Mehfil Mein Rang Jamana Hai_*


✴️ _Apne Matlab Ki Riwayaat Mein Namak Mirch Laga Kar Bayaan Karna Aur Dusri Riwayaat Ko Hadap Jaana, Ye Kahan Ka Insaaf Hai?_


❇️ *_Ab Raha Ye Sawal Ke Humein Kya Samajhna Chahiye To Is Ka Jawab Aap Padh Chuke Hain._*


📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 22,23.*


_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites