↪️ _Is Unwaan Ke Tehat In Baato Ko Zere Bahas Laaya Gaya Hai :_
▶️ *(a) Ye Waqiya Kaafi Mash'hoor Hai*
▶️ *(b) Waqiya*
▶️ *(c) Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Rahimahullah Ka Jawab*
📍 *(A) Ye Waqiya Kaafi Mash'hoor Hai*
✴️ _Ye Waqiya Bhi Awaam Mein Kaafi Mash'hoor Hai_
❇️ *_Kuchh Muqarrireen Ise Bade Shauq Se Bayaan Karte Hain Aur Dekha Gaya Hai Ke Is Waqiye Ko Sun Kar Rona Dhona Bhi Khoob Hota Hai_*
✴️ _Khutbaat Ki Ek Do Kutub Mein Ye Waqiya Maujood Hai Jo Ke Bila Tehqeeq Mahaz Naqal Kar Diya Gaya Hai_
📍 *(B) Waqiya*
❇️ *_Dus Muharramul Haraam Ki Raat Hai......, Maidan -e- Karbala Hai......, Raat Ka Pehla Hissa Hai......., Ahle Bait Quraan Ki Tilawat Mein Masroof Hain......, Hazrate Sakina Ne Jab Sab Ko Quraan Padhte Dekha To Machal Gayee'n Aur Apne Walid Imam Husain Ke Paas Ja Kar Kehne Lagee'n Ke Abba Jaan Mujhe Bhi Quraan Shareef Padhaiye_*
✴️ _Chunanche Paani Na Hone Ki Wajah Se Tayammum Karwa Ke "Auzu Billah" Aur "Bismillah" Padha Aur Phir Zaaro Qataar Rone Lage!_
❇️ *_Jab Wajah Puchhi Gayi To Imam Husain Ne Farmaya Ke Quraan Shuru To Maine Karwa Diya Hai Lekin Ye Soch Kar Ro Raha Hoon Ke Khatm Kaun Karwayega_*
✴️ _Ye Waqiya Shayad Hum Achhi Tarah Se Likh Nahin Paaye Lekin Humare Muqarrireen Bahut Achche Tariqe Se Ise Bayaan Karte Hain, Khoob Rote Hain Aur Bechari Awaam Bhi Apne Aansuo Ko Rok Nahin Paati, Aur Roke Bhi Kaise Ke Waqiye Mein Dard Hi Itna Hai_
📍 *(c) Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Rahimahullah Ka Jawab :*
❇️ *_Is Dardnaak Qisse Ke Baare Mein Hazrate Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Rahimahullah Likhte Hain Ke Jis Kazzab Aur Jaal Saaz Muqarrir Ne Ise Bayaan Kiya Us Se Puchha Jaaye Ke Us Ne Kahan Dekha_*
✴️ _Awaam Bhi Aise Phakad Baaz Aur Charb Zubaan Muqarrir Ko Sar Par Bithati Hai, Moonh Maangi Fees Deti Hai, Us Ke Muqabil Ulama Ko Ghaas Tak Nahin Daalti, Aakhir In Jaal Saazo Ki Islah Kaise Hogi?_
❇️ *_Is Riwayat Ko Bayaan Karne Waala Jaal Saaz Muqarrir Agar Zinda Hai To Us Se Puchha Jaaye Ke Tum Ne Ye Riwayat Kahan Dekhi Hai?_*
✴️ _Ye Riwayat Manghadat Aur Jhoot Hai Aur Is Ko Bayaan Karne Waala Muqarrir........., Bahut Ho Gaya, Ab Hum Kya Kahein_
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 23,24,25.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment