*【POST 17】Tarikhul Khulafa Mein Maujood Ek Riwayat*

↪️ *Is Unwaan Ke Tehat In Baato Ko Zere Bahas Laaya Gaya Hai :*


▶️ *(a) Motabar Kutub Mein Jhooti Riwayaat Ka Imkaan*

▶️ *(b) Tarikhul Khulafa Mein Ek Riwayat*

▶️ *(c) Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Ka Jawab*

▶️ *(d) Ye Jaan Lein*


📍 *(A) Motabar Kutub Mein Jhooti Riwayaat Ka Imkaan*


✴️ _Aisa Nahin Hai Ke Sirf Ghair Motabar Kutub Mein Hi Jhooti Riwayaat Hoti Hain Ya Jin Kutub Mein Jhooti Riwayaat Ho Wo Ghair Motabar Hoti Hain Balki Motabar Kutub Mein Bhi Jhooti Riwayaat Ka Imkaan Hota Hai Aur Isse Kitab Ke Motabar Hone Par Harf Nahin Aata_


❇️ *_Imam Suyooti Rahimahullahu Ta'ala Ki Kitab Tarikhul Khulafa Badi Mash'hoor Kitab Hai Aur Is Se Hum Ek Aisi Riwayat Naqal Kar Rahe Hain Jise Koi Bhi Ahle Bait Se Muhabbat Rakhne Waala Shakhs Qabool Nahin Kar Sakta Aur Isse Ye Batana Maqsood Hai Ke Motabar Kutub Mein Bhi Jhooti Riwayaat Ho Sakti Hain_*


📍 *(B) Tarikhul Khulafa Mein Ek Riwayat*


✴️ _Aksar Dekha Gaya Hai Ke Jab Kisi Waqiye Ko Dalail Ke Saath Jhoota Kaha Jaata Hai To Baaz Padhe Likhe Log Bhi Is Baat Ki Ratt Lagana Shuru Kar Dete Hain Ke Dekhein Fulaan Fulaan Ne Likha Hai Lihaza Jhoot Nahin Ho Sakta_


❇️ *_Aise Log Ya To Musannif Ko Masoom Qaraar Dena Chahte Hain Ya Us Kitab Ko Quraan Ka Darja Dena Chahte Hain Ke Khata Ki Gunjaish Hi Nahin Hai_*


✴️ _Agar Aisa Nahin Chahte To Phir Ye La Ilmi Hai Ke Kisi Kitab Mein Maujood Har Baat Ko Sahih Maan Lete Hain Aur Jab Dalail Ke Saath Us Ki Haqeeqat Batayi Jaaye To Qabool Nahin Karte_


❇️ *_Jo Aisa Kehte Hain Ke Fulaan Fulaan Waqiya Fulaan Motabar Kutub Mein Maujood Hai Lihaza Jhoota Nahin Ho Sakta To Chalein Thodi Der Ke Liye Maan Lete Hain Ke Motabar Kutub Mein Jhooti Riwayaat Nahin Ho Sakti Lekin Ab Aap Is Riwayat Ka Kya Jawab Denge Jo Imam Suyooti Rahimahullahu Ta'ala Ki Kitab Tarikhul Khulafa Mein Maujood Hai :_*


_"Jab Imam Husain Ko Hathyaro Ne Gher Liya To Imam Ne Un Par Sulah Pesh Ki Aur Lautne Ki Khwahish Ki Aur Yazeed Ke Paas Jaane Ki Taaki Apna Haath Us Ke Haath Par De Dein"_


📍 *(C) Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Ka Jawab :*


❇️ *_Is Riwayat Ke Mutalliq Hazrate Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Rahimahullah Farmate Hain Ke Ye Riwayat Jaal Aur Kizb Hai Aur Ye Baat Dushmano Ne Udayi Hai_*


📍 *(D,) Ye Jaan Lein :*


✴️ _Jaan Lijiye Ke Quraan -e- Majeed Ke Ilawa Koi Aisi Kitab Nahin Jis Mein Ghalatiyo Ka Imkaan Na Ho Kitabein Likhne Waale Insan Hi The Lihaza Un Se Bhi Ghalatiya Ho Sakti Hain, Ye Koi Zaroori Nahin Ke Kisi Motabar Kitab Mein Maujood Ek Ek Lafz Motabar Aur Mustanad Ho_


❇️ *_Agar Aisa Hai To Phir Sihah Sitta Ke Baare Mein Kya Khayaal Hai, Ye To Motabar Kitabein Hain Lekin In Mein Bhi Mauzu Riwayaat Maujood Hain_*


📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 27,28,29.*


_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites