*【POST 18】Imam Muslim Bin Aqeel Ke Bachcho Ka Jhoota Waqiya (A)*

 📌 *Is Unwaan Ke Tehat In Baato Ko Zere Bahas Laaya Gaya Hai :*


▶️ *(A) Is Mein Kuchh Khaas Hai*

▶️ *(B) Asal Makhaz Kya Hai?*

▶️ *(C) Teen Qism Ki Kutub*

▶️ *(D) Imam Muslim Bin Aqeel Ke Bachhe Tarikh Ke Aayine Mein*

▶️ *(E) Ek Baar Phir Se Bahas*

▶️ *(F) Khulasa*


📍 *(A) Is Mein Kuchh Khaas Hai :*


✴️ _Ye Waqiya Dusro Se Khaas Hai Lihaza Is Par Tafseeli Guftagu Ki Jayegi Khaas Hone Ki Pehli Wajah Ye Hai Ke Urdu Zubaan Mein Waqiya-e-Karbala Par Jitni Kitabein Likhi Gayi Hain Taqreeban Sab Mein Ye Waqiya Naqal Kiya Gaya Hai Yahan Tak Ke Kuchh Motabar Ulama Ne Bhi Ise Naqal Kar Diya Hai_


❇️ *_Kitabo Mein Hone Ke Saath Saath Ise Kasrat Se Taqreero Mein Bayaan Bhi Kiya Jaata Hai Lihaza Beshtar Log Is Waqiye Se Waqif Hain Guzashta Unwanaat Ke Tehat Humne Aisi Kayi Baatein Bayaan Ki Hain Jin Ko Saamne Rakh Kar Aap Is Waqiye Ki Haqeeqat Ko Samajh Sakenge_*


✴️ _Is Waqiye Par Aaghaz Mein Guftagu Na Karne Ka Yahi Maqsad Tha Ke Pehle Kuchh Ishare De Diye Jaayein Phir Asal Ki Taraf Chala Jaaye_


📍 *(B) Asal Makhaz Kya Hai?*


❇️ *_Waqiya -e- Karbala Mein Jo Qisse Kahaniya Dakhil Ho Gayee'n Ya Jin Manghadat Waqiyaat Ko Waqiya -e- Karbala Ke Saath Joda Gaya Un Mein Se Imam Muslim Bin Aqeel Ke Bachcho Ka Waqiya Bahut Mash'hoor Hai_*


✴️ _Is Waqiye Ko Itni Shohrat Haasil Huyi Ke Urdu Zubaan Mein Waqiya -e- Karbala Par Likhi Jaane Waali Taqreeban Har Kitab Mein Ye Maujood Hai, Yahan Tak Ke Baaz Motabar Musannifeen Ne Bhi Apni Kitabo Mein Ise Naqal Kiya Hai_


❇️ *_Jin Kitabo Mein Ye Waqiya Likha Gaya Hai, Un Ki Tadaad 100 Ke Qareeb Hai_*


✴️ _Ye Tamam Kutub Waqiya -e- Karbala Ke Pesh Aane Ke Saikdo Balki Hazaar Saal Baad Likhi Gayi Hain To Zaahir Si Baat Hai Ke Likhne Waalo Ne Kahin Se Akhaz Kiya Hoga Aur Wo Makhaz (Source) Hi Humein Haqeeqat Bata Sakta Hai Lihaza Ab Humein Ye Dekhna Hoga Ke Is Ka Asal Makhaz Kya Hai?_


📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 29,30.*


_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites