📍 *(C) Teen Qism Ki Kutub*
✴️ _Wo Tamam Kutub Jin Mein Ye Waqiya Darj Hai, Unhein Hum Teen Hisso Mein Baant Sakte Hain_
❇️ *_Pehli To Wo Kitabein Hain Jin Mein Kisi Kitab Ka Hawala Nahin Hai, Bas Waqiya Maujood Hai,_*
✴️ _Dusri Wo Hain Jin Mein Maazi Qareeb Mein Likhi Jaane Waali Kisi Kitab Ka Hawala Diya Gaya Hai,_
❇️ *_Aur Teesri Wo Hain Jin Mein Ek Aise Makhaz Ka Zikr Kiya Gaya Hai Jo Is Waqiye Ka Asal Markaz Hai_*
✴️ _Pehli Do Qismo Ko Alag Karte Hain Kyunki Wo Asal Makhaz Tak Muawin Nahin Ban Saktee'n_
❇️ *_Ab Jo Teesri Qism Ki Kitabein Hain Un Mein Jis Makhaz Ka Zikr Hai Wo "Rauzatus Shuhda" Naami Kitab Hai_*
✴️ _Ye Kitab Farsi Zubaan Mein Hai Aur Musannif Ka Naam Mulla Husain Bin Ali Kashfi Hai Jis Ka Inteqal 910 Hijri Mein Hua, Yahi Wo Sab Se Pehla Shakhs Hai Jis Ne Is Manghadat Qisse Ko Bayaan Kiya Hai Warna Kutub-e-Tarikh Mein Is Ka Koi Naamo Nishan Nahin Tha_
❇️ *_Ek Shia Mirza Taqi Lisaan Ne Bhi Is Baat Ka Etiraaf Kiya Hai Ke Sab Se Pehle Imam Muslim Ke Bachcho Ki Shahadat Ka Waqiya "Rauzatus Shuhda" Mein Bayaan Kiya Gaya Hai Aur Pehle Moarrikheen Mein Sirf Aasim Koofi Ne Bachcho Ka Tazkira Kiya Hai Wo Bhi Naam Liye Baghair Aur Shahadat Ka Koi Zikr Nahin Kiya_*
✴️ _Mirza Taqi Ne Ek Kitab Ke Hawale Se Ye Tak Likha Hai Ke Imam Husain Ki Shahadat Ke Baad Jab Ahle Bait Ko Qaidi Bana Kar Laaya Gaya To Imam Muslim Ke Chhote Saahibzade Un Ke Saath Qaidi The_
❇️ *_Is Waqiye Ke Silsile Mein "Rauzatus Shuhda" Pehli Kitab Hai_*
✴️ _Is Kitab Aur Saahib -e- Kitab Par Hum Tafseel Se Kalaam Karenge Lekin Us Se Pehle Tarikh Ki Raushni Mein Is Waqiye Ki Haqeeqat Ko Mulahiza Farmayein Jise Muhaqqiq -e- Ahle Sunnat, Hazrat Allama Muhammad Ali Naqshbandi Rahimahullah Ne Bayaan Kiya Hai_
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 30,31.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment