*【POST 21】Imam Muslim Bin Aqeel Ke Bachcho Ka Jhoota Waqiya (D)*

❇️ *_Yahan Ghaur Karne Ki Baat Ye Hai Ke Jab Imam Muslim Apne Qarz Aur Apne Jism Je Liye Wasiyat Kar Rahe Hain To Phir Apne Bachcho Ko Kaise Bhool Gaye?_*


✴️ _Imam Muslim Bin Aqeel Ki Wasiyat Mein Ye Baat Zaroor Maujood Honi Chahiye Thi Ke Mere Bachcho Ko Fulaa'n Jagah Pahuncha Diya Jaaye Lekin Aisa Kuchh Bhi Nahin Hai, Beshak Imam Muslim Apne Bachcho Se Muhabbat Karte The To Aisa Kaise Ho Sakta Hai Ke Aap Unhein Bhool Jaayein?_


❇️ *_Mazkoora Tamam Baato Se Ye Saabit Hota Hai Ke Imam Muslim Ka Apne Bachcho Ko Koofa Le Jaana, Un Bachcho Ka Yahan Se Wahan Bhatakna Aur Shaheed Kar Diya Jaana Sab Qisse Kahaniya Be Asal Wa Manghadat Hain_*


✴️ _Is Qisse Ko Sab Se Pehle Mulla Husain Waayiz Kashfi Ne Rauzatus Shuhda Mein Likha Hai Aur Aap Ko Shayad Ye Baat Kadwi Lage Lekin Sach Yahi Hai Ke Mulla Husain Kashfi Sunni Nahin Balki Ahle Tashayyu Tha, Ye Aur Is Ki Kitab Ahle Sunnat Ke Nazdeek Koi Hujjat Nahin_


📍 *(E) Ek Baar Phir Se Bahas*


❇️ *_Sunni Wa Shiya, Dono Taraf Ki Kutub -e- Tawarikh Mein Imam Muslim Bin Aqeel Ke Bachcho Ke Is Qisse Ka Kahin Koi Tazkira Nahin Hai_*


✴️ _Dusri Baat Jo Qabil -e- Ghaur Hai Wo Ye Ke Dono Taraf Ki Kitabo Mein Ye Likha Hai Ke Imam Muslim Jab Koofa Ki Janib Rawana Huye To Raaste Mein Pyaas Ki Shiddat Se Aap Ke Do Saathiyo Ki Maut Ho Gayi Jo Aap Ko Raasta Batane Waale The_


❇️ *_Al Kaamil, Al Bidaya, Tabri, Khaldoon, Biharul Anwaar Waghaira Mein Imam Muslim Ke Halaat Darj Hain Lekin Bachcho Ka Naam Tak Nahin Hai Jab Pyaas Ki Shiddat Se Do Saathiyo Ki Maut Ho Gayi To Bachcho Ka Kya Hua, Is Ka Koi Tazkira Nahin Milta Jis Se Maloom Hota Hai Ke Imam Muslim Ka Apne Bachcho Ko Koofa Le Jaana Hi Saabit Nahin Hai_*


✴️ _Is Qisse Ko Sab Se Pehle Bayaan Karne Waala Mulla Husain Kashfi Ek Aisa Ghair Motabar Shakhs Hai Jis Ne Kayi Manghadat Waqiyaat Ko Apni Kitabo Mein Naqal Kiya Hai_


❇️ *_Is Ki Kitab Rauzatus Shuhda Mein Sirf Yahi Nahin Balki Kayi Jhoote Qisse Maujood Hain_*


✴️ _Imam Muslim Bin Aqeel Ke Bachcho Ke Qisse Ko Sirf Rauzatus Shuhda Mein Hone Ki Wajah Se Kisi Tarah Qabool Nahin Kiya Ja Sakta Kyunki Kutub -e- Tawarikh Mein Is Ka Naamo Nishan Tak Nahin Hai Balki Ulta Is Ki Nafi Maujood Hai_


📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 34,35.*


_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites