❇️ *_Ab Raha Ye Sawal Ke Jin Motabar Ulama Ne Ise Apni Kitabo Mein Naqal Kiya Hai Un Ka Kya? Ise Aasani Se Yun Samjhein Ke Ek Shakhs Ne Koi Baat Kahi Phir Kisi Dusre Shakhs Ne Us Baat Ko Aage Bayaan Kiya Phir Us Par Bharosa Kar Ke Teesre Shakhs Ne Bhi Aage Badha Diya Phir Chauthe, Paanchwein........ Is Tarah Saikdo Logon Ne Use Ek Dusre Par Etimaad Kar Ke Bayaan Kar Diya Aur Wo Baat Kaafi Mash'hoor Ho Gayi Lekin Yahan Ghaur Karein Ke Agar Pehle Shakhs Ki Baat Ghalat Thi To Kya Ab Un Saikdo Logon Ke Bayaan Karne Ki Wajah Se Qabool Kar Li Jayegi? Hargiz Nahin Kyunki Un Saikdo Ke Sahih Ya Ghalat Hone Ka Daaromadar Us Pehle Shakhs Par Hai Lihaza_*
✴️ _Agar Pehla Sahih Hai To Saikdo Log Bhi Sahih Qaraar Diye Jayenge Aur Agar Pehla Ghalat Hai To Wo Baat Ghalat Hi Rahegi_
❇️ *_Isi Tarah Imam Muslim Bin Aqeel Ke Bachcho Ke Qisse Ko Sab Se Pehle Likhne Waala Shakhs Hi Jhoota Hai To Phir Baat Khatm Ho Jaati Hai_*
✴️ _Shiyo Mein Se Baaz Ne Bhi Ye Baat Tasleem Ki Hai Ke Kutub -e- Tawarikh Mein Is Qisse Ka Koi Zikr Nahin Milta Aur Agar Chand Kitabo Mein Hai Bhi To Ye Hai Ke Imam Husain Ki Shahadat Ke Baad Imam Muslim Ke Chhote Bete Qaid Mein The_
❇️ *_Shiyo Ne Ye Bhi Likha Hai Ke Sab Se Pehle Ise Bayaan Karne Waala Mulla Husain Kashfi Hai Aur Jhoote Qisse Kahaniyo Ko Bayaan Karna Is 'Ka Manpasand Tariqa Hai_*
✴️ _Is Qisse Ko Sahih Kehne Ka Matlab Hai Kayi Jhoote Qisso Ko Qabool Karne Ka Darwaza Kholna Kyunki Rauzatus Shuhda Mein Aur Bhi Kayi Afsaane Maujood Hain Jin Mein Se Chand Hum Guzashta Unwanaat Ke Tehat Naqal Kar Chuke Hain_
📍 *Khulasa :*
❇️ *_Imam Muslim Bin Aqeel Ke Baccho Ka Waqiya Kutube Tareekh Mein Maujood Nahi Hai._*
✴️ _Kutube Tareekh Mein Jo Kuchh Maujood Hai Is Waqiye Ki Nafi Karta Hai._
❇️ *_Is Waqiye Ko Ghadne Waala Mulla Hussain Waiz Kashifi Hai._*
✴️ _Shiyo Ne Bhi Aitaraf Kiya Hai Ke Ye Waqiya Mulla Hussain Waiz Kashifi Ne Sab Se Pehle Likha Hai._
❇️ *_Mulla Hussain Khashifi Ne Kayi Jhute Waqiyat Bayaan Kiye Hain_*
✴️ _Uski Kitab Rauzatus Shuhada Mein Maujood Waqiyat Ka Aitabar Nahi Kiya Ja Sakta Hai._
❇️ *_Chand Kutub Mein Imam Muslim Bin Aqeel Ke Saahibzade Ka Qaid Mein Hone Ka Zikr Milta Hai Jis Se Is Waqiye Ki Mazeed Nahi Ho Jaati Hai._*
✴️ _Mutakhireen Ne Ise Bila Tehqeeq Naql Kar Diya Aur Iski Wajah Se Dusre Par Aitemad Aur Saath Mein Waqiye Ki Shohrat Thi Lehaza In Par Ilzam Nahi Lekin Ab Ise Sahi Qarar Dena Durust Nahi Hai. Mulla Hussain Khashifi Aur Uski Kitab Rauzatus Shuhada Ke Mutaliq Kuchh Batein Aage Bayaan Ki Jayengi,_
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 35,36.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment