*【POST 23】Imam Husain Ka Ghoda Zuljanah (A)*

↪️ _Is Unwan Ke Tehat In Baato Ko Zere Bahas Laaya Gaya Hai :_


▶️ *(A) Ek Baar Phir Rauzatush Shuhada*

▶️ *(B) Waqiya*

▶️ *(C) Ye Farzi Aur Manghadat Hai*

▶️ *(D) Maidane Karbala Mein Ghoda?*


📍 *(A) Ek Baar Phir Rauzatush Shuhada*


❇️ *_Jo Kuchh Abhi Tak Likha Gaya Usse Ye Baat Bilkul Waazeh Ho Jaati JainKe Rauzatush Shuhada Ek Ghair Motabar Kitab Hai Jis Mein Jhoote Qisse Kahaniyo Ki Bharmaar Hai_*


✴️ _Is Ka Musannif Mulla Husain Kashfi Aise Waqiyaat Ghadne Mein Maahir Hai Jinse Maatam Ko Farogh Diya Ja Sake_


❇️ *_Mausoof Agar Chahein To Imam Zainul Aabideen Ki Mulaqat Hazrate Abdullah Bin Mubarak Rahimahullahu Ta'ala Se Karwa Dete Hain, Maidan -e- Karbala Mein Shadi Karwa Dete Hain, Imam Muslim Ke Bachho Par Aisa Afsana Likh Dete Hain Ke Is Ki Asal Kahin Nahin Milti, Inhi Waqiyaat Mein Se Ek Imam Husain Ke Ghode Zuljanah Ka Waqiya Hai._*


📍 *(B) Waqiya*


✴️ _Mulla Husain Kashfi Likhta Hai Ke Imam Husain Ki Shahadat Ke Baad Aap Ka Ghoda Zuljanah Beqarar Ho Kar Chaaro Taraf Bhagne Laga Phir Kuchh Der Baad Waapas Aa Kar Us Ne Apni Peshani Ke Baal Khoon Se Tar Kiye Aur Apni Aankho Se Aansu Bahata Hua Kheme Ki Taraf Laut Aaya Jab Ahle Bait Ne Dekha To Unhone Faryaad Karte Huye Ghode Se Farmaya Ke Aye Zuljanah Tu Ne Imam Ke Saath Kya Kiya? Tu Unhein Saath Le Kar Gaya Tha Waapas Kyun Nahin Laaya? Aakhir Tu Kis Dil Ke Saath Unhein Dushmano Ke Beech Chhod Aaya Hai?_


❇️ *_Ahle Bait Noha Kar Rahe The Aur Zuljanah Gardan Jhukaye Ro Raha Tha Aur Apne Chehre Ko Imam Zainul Aabideen Ke Paaon Par Mal Raha Tha Phir Us Ghode Ne Zameen Par Sar Maara Aur Apni Jaan De Di Aur Ek Riwayat Ye Hai Ke Wo Ghoda Sehra Ki Taraf Nikal Gaya Aur Kisi Shakhs Ko Us Ka Nishan Na Mil Saka_*


📍 *(C) Ye Farzi Aur Manghadat Hai*


✴️ _Ye Farzi Aur Manghadat Qissa Mulla Husain Kashfi Ne Shiyo Ki Kitab Se Naqal Kiya Hai_

❇️ *_Kisi Motabar Kitab Mein Is Ka Koi Tazkira Nahin Hai_*


✴️ _Aise Waqiyaat Ghadne Ka Sirf Ek Maqsad Hai Aur Wo Hai Noha Khwani Ko Farogh Dena_

❇️ *_Pehli Baat To Ye Hai Ke Imam Husain Ne Karbala Tak Oontni Par Safar Kiya To Phir Ye Ghoda Kahan Se Aa Gaya?_*


📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 37,38.*


_♻To Be Continue......🔜🔜💝_

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites