📍 *(D) Maidan -e- Karbala Mein Ghoda?*
❇️ *_Imam Suyooti Aur Shah Abdul Azeez Muhaddise Dehelvi Rahimahumallah Likhte Hain Ke Hazrate Ali Radiallaho Ta'ala Anho Ne Ek Maqam Par Farmaya Ke Ye Wo Jagah Hai Jahan Un (Shaheedan -e- Karbala) Ke Oont Baithenge Aur Un Ke Kujawo Ki Jagah Ye Hai Aur Is Jagah Un Ka Khoon Giraya Jayega_*
✴️ _Hazrate Ali Radiallaho Ta'ala Anho Ne Ek Jagah Ki Nishandehi Karte Huye Farmaya Ke Yahan Un Ke Oont Baithenge Jis Se Saabit Hota Hai Ke Karbala Mein Imam Husain Ke Paas Ghode Nahin The_
❇️ *_Kuchh Shiyo Ne Likha Hai Ke Jab Imam Husain Rawana Hone Lage To Aap Ke Bhai Muhammad Bin Hanfiya Ne Aap Ko Rokne Ke Liye Aap Ki Oontni Ki Nakeel Pakad Li (Yaani Aap Oontni Par Sawar The)_*
✴️ _Tarikh -e- Tabri Mein Hai Ke Raaste Mein Imam Husain Ne Farzadaq Shaayir Se Baatein Ki Aur Phir Apni Sawari (Oontni) Ko Harkat Di Aur Chal Pade_
❇️ *_Kuchh Kitabo Mein Imam Husain Ka Ye Qaul Maujood Hai Ke Aap Ne Farmaya :_*
✴️ _Ye Karbala Masaib Ki Jagah Hai, Ye Humare Oontniyo Ke Baithne Ki Jagah Hai, Ye Humare Kujawe Rakhne Ki Jagah Hai Aur Ye Humare Mardo Ki Shahadat Gaah Hai_
❇️ *_Ek Shia Likhta Hai Ke Imam Husain Ne Khitab Farmaya Phir Apni Oontni Bithayi_*
✴️ _Shiyo Ki Ek Badi Kitab "Biharul Anwaar" Mein Bhi Ye Maujood Hai_
❇️ *_Biharul Anwaar Mein Ye Bhi Hai Ke Muhammad Bin Hanfiya Ne Imam Husain Ko Rokne Ke Liye Oontni Ki Nakeel Pakad Li_*
✴️ _In Ke Ilawa Aur Bhi Kuchh Kutub Mein Oontniyo Ka Hi Zikr Hai_
❇️ *_Al Kaamil Mein Hai Ke Imam Husain Apni Oontni Par Sawar Huye Aur Buland Aawaz Se Aawaz Di Jise Sab Logon Ne Suna_*
✴️ _Ek Shia Likhta Hai Ke Maine Ye Zuljanah Ka Naam Hadees, Akhbaar Aur Tarikh Ki Kisi Motabar Kitab Mein Nahin Dekha_
❇️ *_In Tamam Hawala Jaat Se Saabit Hota Hai Ke Imam Husain Ke Paas Ghode Nahin The Lekin Kuchh Log Na Jaane Kahan Se Ghode Le Aate Hain_*
✴️ _Waise Jo Log Imam Zainul Aabideen Ki Mulaqat Hazrate Abdullah Bin Mubarak Se Karwa Sakte Hain, Maidan -e- Karbala Mein Shadi Karwa Sakte Hain, Un Ke Liye Oonto Ko Bhaga Kar Ghode Laana Koi Badi Baat Nahin Hai_
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 38,39,40.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment