↪️ _Is Unwaan Ke Tehat In Baato Ko Zere Bahas Laaya Gaya Hai :_
▶️ *(A) Ghair Munasib Alfaaz Ka Istemal*
▶️ *(B) Waqiya*
▶️ *(C) Ye Manghadat Hai*
📍 *(A) Ghair Munasib Alfaaz Ka Istemal*
❇️ *_Hazrate Sakina Aur Ghode Ka Ek Waqiya Chand Kitabo Mein Is Tariqe Se Bayaan Kiya Gaya Hai Ke Jis Par Ghaur Karne Ke Baad Ek Kam Padha Likha Shakhs Bhi Ye Kahega Ke Ahle Bait Ke Liye Aise Alfaaz Ka Istemal Hargiz Munasib Nahin Aur Ye Tariqa Sirf Logon Ko Rulane Ke Liye Ikhteyar Kiya Gaya Hai_*
✴️ _Aap Khud Dekhein Ke Kis Tarah Is Waqiye Ko Dardnak Banane Ke Liye Laffazi Ka Sahara Liya Gaya Hai_
📍 *(B) Waqiya*
❇️ *_Hazrate Zainab Ke Sar Se Chadar Utri Huyi Hai, Baal Bikhre Huye Hain, Nazar Pathrayi Huyi Hai, Aansuo Ke Do Mote Mote Qatre Palko Par Aa Kar Thehre Huye Hain, Hazrate Sakina Behosh Padi Hain Aur Apne Sartaj Ko Dekh Dekh Kar Rote Ja Rahi Hain_*
✴️ _Imam Husain Apne Bete Zainul Aabideen Se Guftagu Mein Masroof The Aur Apne Pichhe Barpa Hone Waali Qiyamat Ko Na Dekh Sake, Ab Jo Dekha To Dil Par Haath Rakh Liya_
❇️ *_Imam Husain Aage Badhe Aur Behan Ki Giri Huyi Chadar Ko Uthaya Aur Sar Dhaanp Diya, Hazrate Sakina Ko God Mein Liya, Ali Akbar Ke Khoon Se Lithde Huye Sakina Ke Chehre Ko Apne Imame Se Saaf Kiya, Bikhre Huye Baalo Ko Ungliyo Se Durust Kiya Phir Farmaya :_*
✴️ _Sakina Hosh Mein Aao, Baba Ki Aakhiri Ziyarat Kar Lo Phir Saari Umr Baba Ka Chehra Dekhne Ko Taras Jaogi, Beti Sakina Utho Jaldi Karo, Aakhiri Mulaqat Kar Lo, Aakhiri Baar Baba Ke Seene Se Lipat Lo Phir To Saari Zindagi Tumhein Bhi Sughra Ki Tarah Ro Ro Kar Aur Tadap Tadap Kar Guzarni Hai_
❇️ *_Teen Din Ki Pyaasi Bachchi Teen Din Ke Pyaase Baba Se Gale Mil Rahi Hai_*
✴️ _Imam Husain Ne Kaha Ke Aye Bachchi! Tum Thodi Der Baad Yateem Ho Jaaogi! Sakina Kehne Lagi Baba Aap Na Jaayein, Mere Abba Jaan Na Jaayein, Aap Chale Gaye To Baba Ki Ko Kahungi! Phir Jab Imam Husain Ghode Par Sawar Huye Aur Ghode Ko Chalana Chaha To Wo Hil Nahin Raha Hai, Aap Ne Niche Dekha To Sakina Ghode Ke Paaon Se Lipti Huyi Hain_
❇️ *_Aap Ne Farmaya Ke Beti Baap Ke Dil Par Chhuriya Na Chalao, Phir Aap Ne Ghode Se Utar Kar Badi Mushkil Se Bachchi Ko Kheme Mein Pahunchaya Aur Maidan -e- Jung Ki Taraf Rawana Huye._*
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 40,41,42.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment