❇️ *_In Mein Se Kisi Ek Ke Mauqe Par Hum Saal Ke Saal Na Matam Karte Hain Aur Na Rote Hain_*
✴️ _Chalein Sab Ko Chhod Dein,, Ahadees Mein Aata Hai Ke Dunya Ka Sab Se Tareek Din Wo Tha Jis Din Rahmat -e- Aalam ﷺ Is Dunya Se Rukhsat Huye, Agar Har Saal Gham Manana Aur Rona Rulana Jaayez Hota To Allah Ki Azmat Ki Qasam Rabiul Awwal Ke Mahine Mein Har Saal Poori Dunya Mein Kohram Barpa Ho Jaaya Karta_
❇️ *_Ab Hum Har Saal Milad -e- Mustafa Ki Khushi To Zaroor Manate Hain Magar Wisaal Ki Wajah Se Na Matam Karte Hain Aur Na To Sirf Rote Hain_*
✴️ _Jo Log Ahle Sunnat Par Ye Ilzam Lagate Hain Ke Ye Imam Husain Se Muhabbat Nahin Karte, Unhein Ghaur Karna Chahiye Ke Ahle Sunnat Ki Huzoor -e- Akram ﷺ Ke Saath Muhabbat Ko To Koi Maa Ka Laal Challenge Nahin Kar Sakta, Aakhir Huzoor Ke Wisaal Ke Mauqe Par Hum Kyun Nahin Rote?_
❇️ *_Yahan Se Baat Nikhar Kar Saamne Aa Jaati Hai Ke Har Saal Rone Dhone Baith Jaana Ek Ghair Sharayi Harkat Hai Aur Jo Log Sunni Kehlane Ke Bawajood Har Saal Ye Dhanda Karte Hain Unhein Rawafiz Ka Teeka Lag Chuka Hai_*
✴️ _Allah Ke Pyaaro Ka Tariqa To Ye Hai Ke Pyaaro Ki Ayen Wafat Ke Din Bhi Sabro Tahammul Se Kaam Lete Hain Aur Aansuo Par Bhi Control Rakhne Ki Poori Koshish Karte Hain, Haan Albatta Be Ikhteyar Aansu Nikal Aana Ek Alag Baat Hai_
❇️ *_Agar Kisi Ko Ittefaqiya Rona Aa Jaaye To Aise Rone Mein Koi Qabahat Nahin Lekin Takalluf Ke Saath Jaan Boojh Kar Rone Dhone Baith Jaana Aur Ise Ghame Husain Mein Rona Samajh Kar Sawaab Ki Ummeed Rakhna Bilkul Ghalat Hai_*
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 44,45.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment