↪️ *_Waqiya -e- Karbala Bayaan Karte Huye Is Riwayat Ko Bhi Zimnan Bayaan Kiya Jaata Hai Aur Shaheed Ibne Shaheed Aur Dusri Kuchh Kitabo Mein Bhi Ye Riwayat Naqal Ki Gayi Hai Lihaza Zaroorat Mahsoos Huyi Ke Is Ki Tehqeeq Bhi Yahan Bayaan Ki Jaaye_*
📌 *Ye Riwayat Kuchh Is Tarah Milti Hai :*
✴️ _Suno! Jo Aale Muhammad Ki Muhabbat Par Mara Wo Shaheed Hai, Suno! Jo Aale Muhammad Ki Muhabbat Par Mara Wo Bakhsha Hua Hai, Suno! Jo Aale Muhammad Ki Muhabbat Par Mara Wo Taayib Hai, Suno! Jo Aale Muhammad Ki Muhabbat Par Mara Wo Kamilul Iman Hai, Suno! Jo Aale Muhammad Ki Muhabbat Par Mara Us Ko Malakul Maut Ne Jannat Ki Basharat Di Phir Munkar Nakeer Ne Basharat Di, Suno! Jo Aale Muhammad Ki Muhabbat Par Mara Us Ko Jannat Mein Is Tarah Bana Sanwar Kar Le Jaaya Jayega Jaise Dulhan Ko Khawind Ke Ghar Le Jaaya Jaata Hai,_
❇️ *_Suno! Jo Aale Muhammad Ki Muhabbat Par Mara Us Ki Qabr Mein Jannat Ki Do Khidkiya Khol Di Jaati Hain, Suno! Jo Aale Muhammad Ki Muhabbat Par Mara To Allah Ta'ala Us Ki Qabr Ko Rahmat Ke Firishto Ke Liye Mazaar Bana Deta Hai, Suno! Jo Aale Muhammad Ki Muhabbat Par Mara Wo Ahle Sunnat Wa Jama'at Par Mara, Suno! Jo Aale Muhammad Se Bughz Par Mara Wo Qiyamat Ke Din Aayega To Us Ki Peshani Par Likha Hoga Ke Ye Allah Ki Rahmat Se Maayoos Hai, Suno! Jo Aale Muhammad Se Bughz Par Mara Wo Kufr Par Mara, Suno! Jo Aale Muhammad Se Bughz Par Mara Wo Jannat Ki Khushbu Bhi Nahin Sunghega_*
✴️ _Ye Riwayat Kuchh Kitabo Mein Bhi Maujood Hai, Is Riwayat Ke Baare Mein Hazrate Allama Ghulam Rasool Sayeedi Rahimahullah Likhte Hain:_
❇️ *_Ye Riwayat Hadees Ki Kisi Maroof Aur Mustanad Kitab Mein Mazkoor Nahin Hai, Is Riwayat Ko Allama Abu Is'haaq Salabi Ne Apni Tafseer Mein Ek Sanad Ke Saath Riwayat Kiya Hai_*
✴️ _Us Sanad Ke Baare Mein Haafiz Ibne Hajar Asqalani Rahimahullah Likhte Hain Ke Ye Mauzu Hai Aur Is Riwayat Ke Manghadat Hone Ke Aasaar Bilkul Waazeh Hain_
❇️ *_Is Riwayat Ko Dusre Mufassireen Sanad Ki Tehqeeq Ke Baghair Naqal Dar Naqal Karte Chale Gaye (Phir Kayi Mutakhireen Ne Baghair Tehqeeq Ise Naqal Kar Diya)_*
✴️ _Jab Fazail -e- Ahle Bait Mein Ahadees -e- Sahiha Maujood Hain To Phir Mauzu Riwayaat Ka Sahara Lene Ki Kya Zaroorat Hai Hatta Ke Kisi Taan Karne Waale Ko Ye Kehne Ka Mauqa Mile Ke Fazail -e- Ahle Bait To Sirf Mauzu Aur Batil Riwayaat Se Saabit Hain_
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 46,47.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment