📌 *_Is Unwan Ke Tehat In Baaton Ko Zere Bahas Laaya Gaya Hai :_*
▶️ *(A) Kayi Waaqiyat Ka Silsila Rozatush Shuhada Se Milta Hai*
▶️ *(B) Rozatush Shuhada Shiyo Ki Nazar Mein*
▶️ *(C) Mulla Hussain Kashfi Aur Waaqiya -e- Karbala*
▶️ *(D) Alhasil*
📍 *(A) Kayi Waaqiyat Ka Silsila Rozatush Shuhada Se Milta Hai :*
✴️ _Chunki Kayi Waaqiyat Aise Hain Jin Ka Silsila Mulla Hussain Kashfi Ki Kitab Rozatush Shuhada Par Jaa Kar Ruk Jata Hai Lihaza Munasib Maalum Hota Hai Ke Musanif Ke Ahle Sunnat Se Taluq Hone Na Hone Ke Baare Me Bhi Likha Jaye Ye To Sabit Ho Chuka Hai Ke Ye Kitaab Motabar Nahin Lekin Ab Ham Jo Bayaan Karenge Is Se Aapko Andaza Ho Jayega Ke Musanif Bhi Motabar Nahi Hai._
📍 *(B) Rozatush Shuhada Shiyo Ki Nazar Me :*
❇️ *_Allama Muhammad Alli Naqshbandi Rahimahullahu Ta'ala Likhte Hain Ke Shiyo Ki Kitabo "Azzariya" Ka Maqsade Taalif Yahi Tha Ke Tamam Shiya Musanifeen Ki Kitabon Ko Ek Jagha Jamaa Kar Diya Jaye. Aur Is Me Kisi Aisi Kitab Ka Tazkira Na Milega Jo Ahle Tashayyu Ke Nazriyat Aur Mataqidaat Par Mushatmil Na Ho Aur Is Me Mulla Hussain Waayiz Kashfi Ki Rozatush Shuhada Ko Bhi Shamil Kiya Gayaa Hai._*
✴️ _Is Kitab Me Rozatush Shuhada Ka Naam Maujud Hona Saaf Zahir Karta Hai Ke Ye Kitab Ahle Tashayyu Ki Hai. Is Ke Alawa Ek Aur Kitab Ka Hawala Mulaahiza Farmaye:_
❇️ *_Shiya Musanif, Shaikh Abbas Qammi Likhta Hai Ke Mulla Hussain Kashfi Bahut Bada Aalim Fazil Tha. Maulana Abdul Rahman Jami Ka Bahnoyi Hai. Deeni Ulum Ka Jaame, Muhadis, Mufasir Aur Ba Khabar Aalim Tha. Is Ki Bahut Se Tasaanif Hain. Rozatush Shuhada Bhi Iss Ki Tasneef Hai. Hazrate Ali Radiallaho Ta'ala Anho Ki Shaan Me Is Ne Ek Qasida Kaha Hai. Jis Ke Do Sher Ye Hai:_*
✴️ _"Yaani Hazrat Ibraahim Alaihisslam Ne Allah Ta'ala Se Apni Aulad Me Imamat Ka Sawal Kiya To Jawab Mila Ke Ye Mansab Zaalimon Ko Nahi Mil Sakta. Is Se Tumhe Malum Ho Jayega Ke Mansab-e-Imamat In Logon Ko Nahi Mil Sakta Jin Ki Umar Ka Aksar Hissa Islam Me Na Guzara Ho"_
❇️ *_Ye Ash'aar Mulla Husain Kashfi Ke Shiya Hone Ki Daleel Hai Shiya Abbas Qammi Ne Iske Shiya Hone Ki Tasreeh Ki Hai Aur Wo Bhi Aise Nazariye Par Jo Un Ka Muttafiqa Aqeeda Hai Yaani Imamat Ke Liye Masoom Hona_*
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 47,48,49.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment