❇️ *_Iske Saath Quraani Aayaat Se Hazrate Ibrahim Alaihissalam Ke Waqiye Ke Ziman Mein Usne Ye Bhi Saabit Kiya Ke Zalim Aur Khatakar Aur Kufr Ki Zindagi Guzar Kar Musalman Hone Waale Mansabe Imamat Ke Hargiz Laayeq Nahin Ho Sakte Jis Ka Matlab Ye Hai Ke Khulafa -e- Salasa Ki Khilafat Bar Haq Na Thi Kyunki Ahle Tashayyu Ke Nazdeek In Ka Qabl Az Islam Zamana But Parasti Mein Guzra_*
✴️ _Agarche Un Ka Ye Kehna Ghalat Hai Lekin Unke Nazdeek Jab In Teen Khulafa Ka Zamana Qabl Az Islam Shirko But Parasti Mein Ka Daur Tha To Iman Laane Ke Baad Ye Masoom Hargiz Na Huye Aur Imam Nabze Quraani Masoom Hota Hai Lihaza Ye Teeno Hazraat Mansabe Khilafat Par Zabardasti Mutamakkin Rahe Aur Inhone Hazrate Ali Radiallaho Ta'ala Anho Ka Haqqe Khilafat Wa Imamat Ghasab Kar Rakha Tha_
❇️ *_Is Aqeede Ki Bunyad Par Jo Saahibe Rauzatuss Shuhada Ke Ash'aar Se Zaahir Hai Ahle Tashayyu Ke Ek Jugadri Ne Iski Shiyyat Par Muhar -e- Tasdeeq Sabt Kar Di_*
📍 *(C) Mulla Husain Kashfi Aur Waqiya -e- Karbala*
✴️ _Allama Muhammad Ali Naqshbandi Likhte Hain Ke Rauzatush Shuhada Ka Musannif Mulla Husain Waayiz Kashfi Wo Shakhs Hai Jo Waqiya -e- Karbala Ke Mutalliq Manghadat Waqiyaat Aur Riwayaat Likhne Waala Pehla Musannif Hai Baad Mein Shiya Sunni Kutub Mein Rone Rulane Waale Waqiyaat Aur Waqiya -e- Karbala Ko Rangeen Banane Ke Liye Jo Riwayaat Maujood Hain Un Sab Ne Ise Kashfi Se Naqal Kiya Hai_
📌 *Is Ke Shiya Hone Ka Suboot Shiyo Ki Mustanad Kitabo Mein Maujood Hai (Jise Hum Naqal Kar Chuke Hain)*
📍 *(D) Al Haasil*
✴️ _Kitab Ka Ghair Motabar Hona To Yaqeeni Hai Saath Hi Saath Musannif Ka Haal Bhi Qarayeen (Readers) Par Waazeh Ho Chuka Hoga_
❇️ *_Ab Bhi Agar Koi Is Kitab Ko Ya Musannif Ko Sanad Ke Taur Par Pesh Karta Hai To Ye Badi Ajeeb Baat Hogi_*
✴️ _Ye Durust Hai Ke Adame Tawajjoh Ki Wajah Se Kayi Ulama Jin Ka Talluq Ahle Sunnat Se Hai, Unhone Ek Do Baatein Is Kitab Ki Mash'hoor Hone Ki Bina Par Apni Kitabo Mein Naqal Kar Di Hain Lekin Isse Haqeeqat Par Koi Farq Nahin Padta_
❇️ *_Humne Is Kitab Se Kuchh Waqiyaat Ko Hi Naqal Kiya Hai Warna Poori Kitab Aise Ajeebo Ghareeb Qisso Se Bhari Padi Hai Jin Ki Koi Asal Nahin_*
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 49,50,51.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment