❇️ *_Urdu Zubaan Mein Waqiya -e- Karbala Par Sainkdo Ki Tadad Mein Kutub -o- Rasail Maujood Hain. Muqarrireen Ke Nazdeek Shaheed Ibne Shaheed Aur Khaake Karbala Naami Kitab Ko Bahut Achhi Kitab Samjha Jaata Hai._*
✴️ _Ye Kitabein Awaam Mein Bhi Khaas Shohrat Rakhti Hain. Iski Wajah In Ke Andar Maujood Masaale Daar Qisse Aur Muqarrireen Ke Layeq Mawaad Hain Jis Se Kisi Mehfil Mein Rang Jamaya Ja Sakta Hai. Jhute Waqiyat Ko Is Andaz Mein Likha Gaya Hai Ke Jise Sun Kar Kisi Ko Bhi Rona Aa Jaye. Laffazi To In Mein Bharmaar Hai._
❇️ *_Tareekh Ki Kisi Kitab Mein Waqiya -e-Karbala Itni Tafseel Se Maujood Nahi Jitna In Kitabo Mein Hai. Ek Ek Shakhs Ki Shahadat Ki Tafseel Ko Is Tarah Bayaan Kiya Gaya Hai Jaise Musannif Khud Maidane Karbala Mein Maujood Ho. Tarteeb Ke Saath Bayaan Kiya Gaya Hai Ke Kis Ne Kis Tarah Hamla Kiya, Kis Ne Kis Kitne Logo Ko Maara, Kis Ne Kya Ash'aar Padhe Aur Kis Ka Kya Anjam Hua Halanke Kutube Tawareekh Is Baare Mein Khamosh Hain._*
✴️ _Phir Sughra Ka Qissa, Sughra Ka Qasid, Sughra Ka Khat, Sakeena Ki Bechaini, Hazrat Zainab Ka Baccho Ko Maidane Jang Mein Bhejna Jin Ke Qadd Se Badi Talwar Batayi Jaati Hain, Phir Paani Band Hone Ke Baare Mein Ajeebo Ghareeb Batein Aur Na Jane Kitni Khurafaat Ko In Kitabo Mein Bade Dhadalle Ke Saath Naql Kiya Gaya Hai._
❇️ *_Agar In Kitabo Par Shuru Se Aakhir Tak Behas Ki Jaye To Ek Alag Kitab Ban Jayegi. Aisi Kitabo Ka Padhna Aur In Mein Maujood Jhute Waqiyat Ko Taqreero Mein Bayan Karna Hargiz Durust Nahi Hai. Hamne Bas Kuchh Mashhoor Waqiyat Par Hi Iktefa Kiya Hai Warna Aise Kayi Waqiyat Maujood Hain Jin Ki Koyi Haqiqat Nahi Hai. Muqarrireen Se Guzarish Hai Ke Aisi Kitabein Na Padhein Aur Jhut Ko Farogh Na Dein Aur Wo Bhi Jhut Aisa Jo Ahle Bait Par Bandha Gaya Ho!_*
📚 *CHAND WAQIYAAT-E-KARBALA KA TEHQEEQI JAAYEZA SAFAH 51,52.*
_♻To Be Continue......🔜🔜💝_
No comments:
Post a Comment