↪PART :- 05 💥MAYYAT KA BAYAAN💥


     〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
✅Kab kafan ke liye sawaal jaaiz hai :-

☑Mas,ala :-

🚦Kafane zaroorat ke hote hue kafane masnoon ke liye sawaal karna jaaiz nahi ki bila zaroorat sawaal Najaiz hai aur yahan zaroorat nahi...

🚦Albatta kafane zaroorat Mayassar na ho to zaroorat bhar sawaal karein,

🚦Zyada ke liye nahi agar bina Mange Musalmaan khud kafan ki zaroorat pura kar dein to IN SHAA ALLAH pura sawaab payenge. ....

✅Kafan ka kapda kaisa hona chahiye?

☑Mas,ala :-

🚦Kafan acha hona chahiye yani Mard Eid wa juma'a ke liye jaisa kapda pahanta tha aurat jaise kapde pahan kar Maike
jaati thi usi qeemat ki honi chahiye,

🚦Hadees shareef me hai ki murdon ko kafan acha do ki woh aapas me mulaaqaat karte hain aur ache kafan se tafaakhur karte hain yani khush hote hain,
safed kafan behtar hai ki HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ne farmaya apne murde safed kapde me dafanaao.

☑Mas,ala :-

🚦Kusum ya zafran ka ranga hua ya resham ka kafan mard ke liye manaa hai aur aurat ke liye jaiz hai,

🚦Yani jo kapda zindagi me pahan sakta hai uska kafan diya jaa sakta hai aur jiska pahanna zindagi me najaiz uska kafan bhi najaiz.

✅Puraane kapde ka kafan :-

☑Mas,ala :-

🚦Kafan purane kapde ka bhi de sakte hain

✅Bache ka Kafan :-

☑Mas,ala :-

🚦9 baras ya isse zyada umr ki ladki ko Aurat ke barabar pura kafan diya jayega aur 12 ya usse zyada umr ke ladke (boy) ko mard ke barabar kafan dein aur 9 baras se chhoti ladki ko 2 kapda aur 12 baras se chhote Ladke ko Ek kapda bhi de sakte hain,

🚦Aur ladke ko bhi 2 kapde diye Jaaye to acha hai aur behtat yeh hai ki 2no ko pura kafan diya jaye..........

📚[Qanoone shariat page 159-160]

✅Kafan kis ke Maal se hona chahiye ?

☑Mas,ala :-

🚦Mayyat ne agar kuch maal chhorha to kafan usi ke maal se hona chahiye,

☑Mas,ala :-

🚦Dain, Wasiyat, Miraas is sab par kafan muqaddam hai yani mayyat ke maal se pahle kafan diya jayega fir baqi se qarz adaa kiya jayega fir jo baqi bachega us se tihaai se wasiyat puri ki jayegi fir baqi se wareeson ko milega,

☑Mas,ala :-

🚦Mayyat ne maal na chhora to kafan us ke Zimma hai jiske Zimma zindagi me Nafqa (zaroori roti kapde ka kharch) tha aur agar koi aisa nahi jis par nafqa wajib hota hai ya hai magar nadaar hai to baitul maal se diya jaye aur baitul maal bhi wahan na ho jaisa yahan hindustan me to wahan ke musalmaanon par kafan dena farz hai agar maloom tha aur na diyaa to sab gunahgaar honge agar in logon ke paas bhi nahi to ek kapde ke barabar aur logon se sawaal kar le,

☑Mas,ala :-

🚦Aurat ne agarche maal chhorha lekin iska kafan shouhar ke zimma hai,

🚦Basharte ki mout ke waqt koi Aisi baat na Paai gai ho jis se Aurat ka Nafqa shouhar par
Saaqit ho jata hai agar shouhar mara aur uski Aurat Maaldaar hai jab bhi aurat par kafan wajib nahi,

☑Mas,ala :-

🚦Yeh jo Kaha Gaya ki falaa,n par kafan wajib hai is se muraad kafan sharai hai yuin hi baqi sab samaane tajheez jaise khushboo wa gassaal aur le jane wale ki ujrat aur dafan ke masaarif sab me sharai miqdaar muraad hai
baqi aur baat jo mayyat ke maal se ki gai agar waaris baalig ho aur sab waarison ne ijaazat bhi de di ho to jaaiz hhai warna kharch karna wale ke zimma hai.
📚[Qanoone shariat page 160]


🔰To Be Continue......
«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites