⤵ *【POST:- 06.】*

🏮 *_3 TALAAK QURAN-O-HADEES KI ROSHNI ME..._*

*TALAAK KI KISM'EN...*

📍 _Hamare Sunni Bhaiyon Ko Bhi Chahiye Ki Wo TALAAK Ki Kisme'n Aur TALAAK Dene Ka Sahi TARIKA Samjhen, Waise To Fiqhe Hanfi Ki Kitabon Me Iske Masa'eel Bit'tafseel Hain Par Awam Aaj Kal Kitaben Kahan Padhti Hai, Ya Phir Kitabon Ka Meyar Itna Aalemana Hota Hai Ki Log ARABI URDU Alfaaz Ki Bina Par Masla Hi Nahi Samajh Pate Hain, Pehle Aapko TALAAK Ki Kisme'n Aasan Se Aasan Tar Andaz Me Samaj Le..._

*⤵TALAAK Ki 3 Kisme'n Hain....*

1⃣ *RAJ'EE رجعى.....*
2⃣ *BA'IN بائن....*
3⃣ *MUGALLAZAH....*

🚦 *_Raj'ee TALAAK Kya Hai.?_*

📌 _Rajee TALAAK Ye Hai Ki Use Dene Ke Bad Biwi Faoran Nikah Se Bahar Nahi Hogi Balki Iddat Guzarne Ke Bad Nikah Se Bahar Hogi,_

📍 *Aur Iddat Ke Andar Wapas Lena Chahe To Le Sakta Hai Naye (New) Nikah Ki Bhi Zaroorat Nahi...*

🚦 _(Talaq Ki iddat 3 Haiz Aana Hai, Agar Haamelah *(Pregnant)* Hai To Bachcha Paida Hote Hi iddat Khatm Ho Gai Chahe Jab Paida Ho, Agar Nabligh Hai Ya 55-year's Se upar Hai Jise Haiz Na Aata Ho To in Dono Ke Liye Iddat 3-Month Hai Chand Ki Tareekh Ke Hisab Se)_

🚦 *_(2-Qism Ba'in ka bayan kal Hoga)_*

⤵ *WAZAHAT:-*

📌 *_Jo Log Ye Samajhte Hain Ki 1-TALAQ Rajee Hai Aur 2-Ba'in Wo Galti Par Hain, 1 Bhi Rajee Hai Aur 2 Bhi Rajee Hai, Matlab Jisse Bagair Nay Nikah Ke Rujoo Kiya Ja sake Phir Se Use Nikah Ki Zaroorat Nahi.._*

⛔ *NOTE :-*

📍 _TALAQ Ke Masayel Bahot Bareek Aur Ahem Hain Uske Liye Aap Fiqhe Hanfi Ki Urdu Aur Hindi Me Mash'hoor Kitab *QANOON-E-SHARI'AT* Ya *BAHAR-E-SHARIYAT* Padhen Aur Ho Sake To Kisi Sunni Alim Ke Samne Padh Ke Samjhen Aur Ziydah Behtar Ye Hai Ki Aap TALAAK Ke Masayel Apne Rabte Ke Kisi Mustanad Sunni Hanfi Barelvi Aalime Deen Se Puchen,_

📌 *Humne Hattle Imkaan Koshish ki Hai Ki Masle ko Aasan Se Aasan Andaz Me Samjaye Phir Bhi Koi Baat Samajh Me Na Aaye To Zaroor Kisi Sunni Aalim Se Rujoo Karen...*

✍🏻 *_TALAAK KA TOPIC JARI HAI..._*

Our Social Sites