⤵ *【POST:- 08.】*

🏮 *_3 TALAAK QURAN-O-HADEES KI ROSHNI ME..._*

🚦 *TALAAK Ki Kisme'n Malum Hone Ke Bad Ye Bhi Malum Karna Chahiye Ki TALAAK Diya Kaise Jaye.?*

📌 _Be'wajhe Shar'ee TALAAK Dee Hi Na Jaye Lekin Jab Dena Ho To Behtar TARIQE Ko Apnaya Jaye,_

🚦 *_TALAAK Dene Ke 3-TARIQE Hain..._*⤵

1⃣ *AHSAN (احسن)*
2⃣ *HASAN (حسن)*
3⃣ *BID'EE (بدعی)*

*🚦TALAAKE AHSAN (Sab Se Behtar TARIQAH):-*

📍 _Haiz Ke Bad Paaki Ke Dinon Me Biwi Se Hambistari Na Kare Aur Ek TALAAK De Kar Chhod De, Iddat Puri Hone Par Biwi Khud Nikah Se Bahar Ho Jaygi..._

📌 *_Ab Isme Option Ye Hai Ki Agar Usi Ko Rakhna Chahe To iddat Se Pehle Usse Rujoo Kare Ye Keh Kar Ki Tume Nikah Me Rakhta Hun, Ya Bosa (Kiss) Le Kar Ya Akele Me Mulaqat Kar Ke, Agar Iddat Puri Ho Gai To Ab Use Rakhna Chahta Hai To Biwi Se Naya (New) Nikah Naye Maher Par Kare, Agar Nahi Rakhna To Biwi Dusre Se Nikah Kar Sakti Hai..._*

🚦 *TALAQE HASAN (Behtar, Theek):-*

📍 _Ye Hai Ki Haiz Aane Ke Bad Paaki Wale Dino Me Bina Hambistari Kiye Ek TALAAK De, Phir Dusri Baar Haiz Aaya Phir Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Kiye Dusri TALAAK De, Teesri Baar Bhi Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Teesri TALAAK De, Ab Biwi Nikah Se Bahar Ho Gai, Agar Use Rakhna Ho To Iddat Ke Bad Halalah Ke Bina Nahi Rakh Sakta..._

🚦 *TALAQE BID'EE (Bura Tariqah, Naya Tariqah):-*

📌 *_Ye Hai Ki Haiz Ki Halat Me TALAQ Dena, Ya Paaki Ke Dino Me 3-TALAQ EK Sath Dena, Ya Paaki Ke Dino Me Sohbat Kiya Aur Phir TALAQ Dee._*
*(ماخوذ از- کتب فقہ حنفی)*

📍 _Pehle Aapke Samne TALAAK Ki Qisme'n Zikr Kee, Phir TALAAK Ka TARIKA Bataya Jo Behtar TARIKA Hai (TALAAKE AHSAN) Uspe Amal Kiya Jaye Allah Na Kare Kabhi Aisa WAQT Aaye To._

📌 *TALAAK Ke Masayel is Qadar Hain Ki Uske Liye Achcha Khasa Daftar Chahiye, Ye Hamara Mauzu (Topic) Nahi Hai, Bas Ijma'lan Zikr Kar Diya, Mauzu Ki Munasibat Se, Taki is MAZMOON Ke Padhne Wale Ko Sahi Masle Ka ILM Ho,*

📍 _Ab Aaiye Apne Asal Mauzu Ki Taraf Ki 3- TALAQ Chahe Ek Sath De Ya 3 Tohar (Paaki) Me Wo 3 Hi Hai 1 Nahi Biwi Ko Shohar Bina Halalah Kiye Apne Nikah Me Nahi Rakh Sakta, Alhamdulillah Is Par Ahnaaf Ka Mauqaf Quran O Sunnat Ke MUTABIQ O MAWAFIQ Hai, Aage Dalayel_ *Mulahazah Farmayen.*

✍🏻 *_TALAAK KA TOPIC JARI HAI..._*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites