⤵ *【POST:- 09.】*

🏮 *_3 TALAAK QURAN-O-HADEES KI ROSHNI ME...._*

🚦 *AAGAZ-E-BAHES 3-TALAAK....*

📌 _ALLAH Pak Ne Insano Me Kuch Rishte Aise Banaye Hain Jo Insano Ke Todne Se Bhi Nahi Toot Te, Jaise Maa Baap Aur Aulad Ka Rishta, Bhai-Bhai Ka Rishta Wagera, Aur Kuch Rishte Insano Ne Khud Banaye Hain Aur Jab In Rishton Me Kadwahat Aajaye To Ise Ahsan Tariqe Se Todne Ka Tariqah Bhi Islam Me Maujood Hai, Jaise Miya Biwi Ka Rishtah Jo Nikah Ke Zarye Qa'yam Hota Hai Aur TALAAK Ke Zarye Toot Jata Hai,,,,_

📍 *Yahudi (Israeli) Mazhab Me Shohar Jitni Baar Chahe TALAAK De Sakta Hai Aur Phir Usi Biwi Ko Rakhna Chahe To Rakh Sakta Hai Unke Yahan TALAAK Ki Koi Tehdeed (Had) Nahi, Aur Isai Mazhab Me To TALAAK Jayez Hi Nahi Hai,*
_Jisse Ek Bar Shadi Ho Gai Ab Usi Ke Sath Puri Zindagi Guzarni Hai..._

📌 *_Iske Bar'Khilaf Islam Ne 1 Aur 2 TALAAK Ke Bad Biwi Ko Rokne Ka HAQ Diya Hai Jabki 3 TALAAK Dene Ke Bad Bina Halalah Kiye Wo Use Nahi Rakh Sakta, Chahe 3- TALAAK 3-Tohar (Paki Ki Halat) Me Dee Ho Ya 3 Haiz (Napaki Ki Halat) Me, Ya Eik Sath 3 Dee Ho, Bahar Haal Wo TALAAKE MUGALLAZAH Hai Jisse Nikah Toot Gaya, Haan Ye Hai Ki Ek Sath 3-TALAAK Dena Sakht Mana Aur Bura Hai Jaisa Ki Hadise Pak Me Huzoor ﷺ Ka Irshad Maujood Hai..._*

📖 *HADEES SHARIF :-*

📍 _Huzoor ﷺ Tak Ye Khabar Paohchi Ki Ek Shakh Ne Apni Biwi Ko Ek Sath 3-TALAAK Dee, Ise Sunkar Aap Gusse Me Khade Huye Aur Ye Farmaya Ki ALLAH Ki Kitab Se Khel Karta Hai ? Halaki Mai Tumhare Andar Abhi Maujood Hu..._

📚 *{سنن النسائي، کتاب الطلاق، حدیث نمبر-٣٣٩٨}*
📌 *3-TALAAK Ek Sath Dena Sakht Mana Aur Gunah Hai Lekin Koi De-De To Isme Kisi Imam Ka Koi Ikhtelaf Nahi Ki Ek Majlis Ki 3 TALAAK 3 Nahi Balki Ek Hai, Huzoor ﷺ Ke Zamane Pak Se 7wi Sadi Hijri Tak is Masle Me Ahlesunnat Wa Jamat Ka Kabhi Ikhtelaf Hua Hi Nahi,*

📍 _Isme Yahudi Aur Shiyon Ke Baad Ikhtilaaf Karne wala Ibne Taimiyah Aur Uska Shagird Ibne Qaiyyim Hai Jinhe is Masle Me Galat Raah Chalne Ki Bina Par Apne Shaher Se Maar Kar Nikala Gaya, Ab Ibne Taimiyah Ki Baasi Kadi Me Ubaal Aaj Kal Ke Angrezi Mujtahid Yaani Gair MUQALLIDEEN La Rahe Hain..._

⤵ *_Huzoor Gause Pak Shaikh Abdul Qadir Jilani رضی اللہ تعالٰی عنہ Farmate Hain..._*

📌 *3 TALAAK Ke Bad Bhi Biwi Ko Rakhne Ka Riwaj Yahudiyon Me Hai Unse Ye Masla Rawafiz (Shiyon) Ne Liya...*

📚 *(غنیة الطالبين، صفحہ نمبر-١٧٢}*

📍 _Yahudiyon Aur Shiyon Ki Pairwi Karte Huye Gair MUQALLIDEEN Ne Bhi Ek Majlis Ki 3 TALAAK Ko 3 Manne Se Inkar Kiya Aur Puri Ummat Ke 1450 Saala Ijma Ko Thukra Kar Use 1-TALAAK Maana Aur Biwi Ke Nikah Me Baaqi Hone Ka Farman Jaari Kiya, Yaani Quran Ke MUTABIQ Ab Jo Aurat Bina Halalah Kiye Jayez Na Thi Use Haramah Ke Zarye In Angrezi Mujtahideen Ne Jayez Kiya...._

⛔ *Agle PART Me Padhiye Ahaadees Ke Hawale Se Ek Majlis Ki 3 TALAAK 3 Hi Hai Ek Nahi...*

✍🏻 *_TALAAK KA TOPIC JARI HAI..._*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites